Thursday, January 7, 2010

ishaaray

kehne ko us ne kuch na kaha,
ishaaron me magar
baten bohat keen.

muje karne ko or kuch na tha,
ik ik lafz ki magar taabeerain bohat kin.

sunnay ko kuch na tha,
magar samajnay ko bohat kuch.

kuch un-kahay qissay suna daale us ne,
kuch kahi baten un-kahi kar deen.

ye ishaaron ki duniya sa koi kahan zalim he,
pachtaava he gar samjo to, na samjo to bi galti.

ik hi sabak he seekha mene.......
jo bola nahin wo raakh, gar zabaan pe he to mehaz afsana-e-khaak.

har dour me mene khud ko parkha magar,
tashbeeh-o- ishaare ne mujko tabaah kar daala.

ab halat aisi ho gai he koi jo be karle,
yaheek nahin hota zubaani bayaan tak.

haan ye sach he mera,
kehne ka matlab or tha, likhne ka or.

magar karne ka maqsad kuch na tha...
shayed yehi tha ishaaron ka dour.

No comments:

Post a Comment

thanks for your comments :)